Main ye nahi Bolta ki main tumse Pyaar karta hu
Par main isse inkar bhi nahi karta
Pata nahi kyon jab tumhare nazdik aata hu dhadkan badh jati hai , man ghabrata hai , saanse tham si jati Hain ,
par phir bhi bolne ki himmat nahi juta pata hu..
ki bus tumhe seene se lagana chahta hu...
Mujhe ye bhi pata hai ki
Jo mere saath hota hai ,
wo tere saath bhi hota hai...
Maine bhi dekha hai ki
tumhara man bhi tadpta hai ,
saanse phoolne lagti hai
phir bhi na tum khuch bolte ho
na hum khuch bolte
Zamane ke dar se na tum himmat zuta pate na hum
Kabhi to man karta hai sab bol du khuch samay ke liye sab rok du .. kab Tak is man ko tadpau , man mein tumhe bus yaad karu , itna tension le ke jiu , aaj hi sab phod du... Par pata nahi ... Khuch samajh na aata , man ghabra jata
Na tumhare peeche padne ka man karta hai , na tumse dur Jane ka man padta hai , na tumhe baho mein samane ka man padta hai , aur na hi isse dur Jane ka man padta hai.. pata nahi ye man Kya kehta hai Kya kehta hai , Kya kehta hai....
Mujhe pata hai ye sab Galat hai, par sahi Kya hai ye bhi samajh aata , bus apne man ki sunne ka man padta , man padta , man padta .....
Na tumhe yaad Karne ka man karta hai , na tumhe bhulane ka man karta hai..
Bus tu hi yaad aata hai..
Na Kam se dur Jane ka mann karta hai.
Na hi Kam Karne ka mann karta hai.. hai..
Agar tujhe lagta hi ki wahi haal hai .. Jo Mera to green kapde pehenkar samne aana . main samajh jaunga , ki wahi haal hai Jo Mera nahi to man bana Kar main ye sab tension se dur Chala jaunga ....
Pata hai kamana jaruri hai.. phir bhi pata nahi kyon Kam na Karne ka mann karta hai...
Kyon khud tadapta hai , kyon mujhe tadpata hai... ...
Main ye nahi Bolta ki main tumse Pyaar karta hu
Par main isse inkar bhi nahi karta